Web sitemize hoşgeldiniz, 29 Mart 2024
Beğen 2

Allahu

Hava khilaf thi, lekin chiragh khub jala
Khuda bhi hone ke kya kya sabut deta hai
Tere hi nam se har ibteda hai
Tere hi nam tak har inteha hai
Teri hamd o sana, alhamdu liLlah
Ke Tu mere Muhammad ka Khuda hai
Ye zamin jab na thi, ye jahan jab na tha
Chand suraj na thay, asman jab na tha
Raz-e-haq bhi kisi par ayan jab na tha
Tab na tha kuch yahan, tha magar Tu hi Tu
Kawnain ka masjud hai, ma’bud hai Tu
Har shai Teri shahid hai ke mash-hud hai Tu
Har ek ke lab par hai Teri hamd o sana
Har soz mein, har saaz mein mawjud hai Tu
Tu jo har aan nai shaan dikha deta hai
Dida-e-shawq ko hairan bana deta hai
Dali dali Teri takhliq ke gun gati hai
Patta patta Teri qudrat ka pata deta hai
La ilaha Teri shan ya wahdahu
Tu khayaal-o-tajassus, Tu hi arzu
Ankh ki roshni, dil ki avaz Tu
Khaliq-e-kul hai Tu, is mein kya guftagu
Sare alam ko hai Teri hi justaju
Teri jalvagari hai ayan charsu
Tha bhi Tu, hai bhi Tu, hoga bhi Tu hi Tu


Nader Khan

Sitemizde sanatçıya ait toplam 8 eser bulunmaktadır. Sanatçının sayfasına gitmek için tıklayın.

Yorumlar

Henüz yorum yapılmamış.