Web sitemize hoşgeldiniz, 05 Ocak 2025
Beğen 1

Muhammad Samie-Haal E Musalman

Kya ho gaya hai haal-e-musalman kya kahoon
Hain pur-malal Ya Ali ahwal kya kahoon
Zahir hai paraganda to batin bhi siyah hai
Kehne ko magar ummat-e-mehboob-e-Khuda hai
Ehsas ki dawlat hai na kuch ghairat-e-eeman
Na barq hai seenon mein na himmat na vaza hai
Taajir hain zameeron ke sar-e-aam musalmaan
Haq baat kahoon in se to murda bhi bhala hai

Na sift-e-khafi in mein na ausaf-e-jali hain
Bolen ge to aise ke zamane ke wali hain
Be-khabar hain khud se to jahan bhar ki khabar hai
Khali hain amal se magar auron ki fikr hai
Afkaar jawanon ke zaboon-haal hain Maula
Shaheen ki dosheeza-e-maghrib pe nazar hai
Hai Dukhtar-e-Islam-e-mubeen nafs ki laundi
Afsos ke wo zeenat-e-har raah-guzar hai

Zahid ka zohd hai to dikhane ke liye hai
Mufti ka hai fatwa to kamane ke liye hai
Lagu hain kahan us pe ye ahkam-e-shariyat
Naseh ki nasihat to zamane ke liye hai
Haider si sakhawat na Alamdar si jurrat
Hasnain si shaukat hai, na Akbar si basarat
Abid si ibadat hai, Na Jafar si sadaqat
Zahra si taharat hai na Zainab si balaghat

Thukra ke hum ne qaul-e-Nabi zee-maqam ko
Thama hai hum ne Ya Ali har khas-o-aam ko
Chorha Ali tujhe teri itrat se katt gaye
Phir yun hua ke hum to tehattar mein batt gaye
Dushwaar hai is halat-e-bad-haal mein rehna
Ya Haider-o-Safdar ye Khuda Pak se kehna
Parwardgar waqt-e-zahoor-e-imam a.s. hai
Pasti mein deen-e-Ahmad-e-Khair-ul-anam hai


Muhammad Samie

Sitemizde sanatçıya ait toplam 1 eser bulunmaktadır. Sanatçının sayfasına gitmek için tıklayın.

Yorumlar

Henüz yorum yapılmamış.

Yorum Yaz

Bu site, istenmeyenleri azaltmak için Akismet kullanıyor. Yorum verilerinizin nasıl işlendiği hakkında daha fazla bilgi edinin.