Web sitemize hoşgeldiniz, 10 Ocak 2025
Beğen 3

Mohammad Furqan Wazir-Hai Sitam Gar Zamana

Hai Sitam Gar Zamana, Pareshañ Huñ Maiñ
Kamli Wale Ki Nagri Me Ghar Chahiye
Jis Sub’ho Haziri Jake Rouze Pe Ho
Hañ Mujhe Ek Aisi Sahar Chahiye
****
Unki Yadoñ Ka Marqaz Hai Seena Mera
Door Rah Kar To Mushkil Hai Jeena Mera
Sabz Gumbad Tale Ho Kabhi Haziri
Wo Gali Chahiye, Wo Nagar Chahiye
Hai Sitam Gar Zamana, Pareshañ Huñ Maiñ
Kamli Wale Ki Nagri Me Ghar Chahiye
****
Hai Hasiñ Chand Bhi Manta Huñ Magar
Ispe Haiñ Chhaiyañ Aa Raha Hai Nazar
Jo Hua Goud-e-Aamina Me Tulu
Bas Hameñ Ek Wo Hi Qamar Chahiye
Hai Sitam Gar Zamana, Pareshañ Huñ Maiñ
Kamli Wale Ki Nagri Me Ghar Chahiye
****
Unki Yadeñ Hasiñ Tar Sataeiñ Bahut
Dooriyoñ Ke Ye Lamhe Rulayeñ Bahut
Jis Se Mahboob Ko Ru-Baru Dekh Luñ
Mere Mola ! Mujhe Wo Nazar Chahiye
Hai Sitam Gar Zamana, Pareshañ Huñ Maiñ
Kamli Wale Ki Nagri Me Ghar Chahiye
****
Jaan De Duñ Maiñ Aaqa Tere Naam Par
Phir Karuñ Fakhr Maiñ Apne Is Kaam Par
Be-Khatar Kood Jauñ Bade Shauq Se
Aatish-e-Ishq Ka Ik Bahar Chahiye
Hai Sitam Gar Zamana, Pareshañ Huñ Maiñ
Kamli Wale Ki Nagri Me Ghar Chahiye
****
Pur Fitan Daur Hai, Zulm Ka Zor Hai
Kufr Ki Sazisheñ, Fisk Ka Shor Hai
Ho Muyassar Riyasat-e-Madina Hameñ
Aur Phir Se Hameñ Ik Umar Chahiye
Hai Sitam Gar Zamana, Pareshañ Huñ Maiñ
Kamli Wale Ki Nagri Me Ghar Chahiye
****
Dekh Luñ, Ibn-e-Abbas ! Betab Huñ
Raat-Din Sochta Ek Hi Khwab Huñ
Aazmeen-e-Madina Se Mil Jauñ Maiñ
Ishq-e-Khair-ul- Wara Ka Safar Chahiye
Hai Sitam Gar Zamana, Pareshañ Huñ Maiñ
Kamli Wale Ki Nagri Me Ghar Chahiye


Mohammad Furqan Wazir

Sitemizde sanatçıya ait toplam 1 eser bulunmaktadır. Sanatçının sayfasına gitmek için tıklayın.

Yorumlar

Henüz yorum yapılmamış.

Yorum Yaz

Bu site, istenmeyenleri azaltmak için Akismet kullanıyor. Yorum verilerinizin nasıl işlendiği hakkında daha fazla bilgi edinin.