Web sitemize hoşgeldiniz, 28 Mart 2024
Beğen 1

Faslon Ko Takalluf

Faslon ko takalluf hai hum se agar
Ham bhi bebas nahin, besahara nahin
Khud unhin ko pukarenge hum dur se,
Raaste mein agar paun thak jaaenge
Jaise hi sabz gumbad nazar aaega
Bandagi ka qarina badal jaaega
Sar jhukane ki fursat milegi kise
Khud hi aankhon se sajde tapak jaaenge
Hum madine mein tanha nikal jaaenge
Aur galiyon mein qasdan bhatak jaaenge
Hum vahaan jaake vaapas nahin aaenge
Dhundte dhundte log thak jaaenge
Naam unka jahaan bhi liya jaaega
Zikr unka jahaan bhi kiya jaaege
Nur hi nur sinon mein bhar jaaega
Saari mehfil mein jalve lapak jaaenge
Ae madine ke zaair khuda ke liye
Dastaan-e-safar mujh ko yun mat suna
Dil tadap jaaega. Baat badh jaaegi
Mere mohtat aansu chhalak jaaenge
Unki chashm-e-karam ko hai iski khabar
Kis musafir ko hai kitna shawq-e-safar
Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili
Hum bhi aaqa ke durbar tak jaaenge


Nader Khan

Sitemizde sanatçıya ait toplam 8 eser bulunmaktadır. Sanatçının sayfasına gitmek için tıklayın.

Yorumlar

Henüz yorum yapılmamış.