Danish F Dar-Aaqa Hai Hamara
Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara
Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara
Jo sab se alag, sab se haseen, sab se hai pyaara
Jo sab se alag, sab se haseen, sab se hai pyaara
Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara
Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara
Woh Maalik-o-Mukhtaar hain, Mukhtaar hain, Mukhtaar
Aise mere Sarkaar hain, Sarkaar hain, Sarkaar
Sookhi hui lakdi ko jo talwaar bana dein
Insaan toh insaan, darakhton ko chala dein
Ungli ke ishaare se kare chaand ke tukde
Doobe hue sooraj ko jo bulwa dein dobara
Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara
Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara
Mustafaaaaa ﷺ, Mustafa Saw
Sar kaat bhi daaloge toh deewana kahega
Sarkaar ﷺ ne jo keh diya, woh ho ke rahega
Mehshar mein faqat unka hi farmaan chalega
Hum log deewaane hain, lagaate hain yeh naara
Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara
Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara
Jo phool sa hote hue kaanton pe chala hai
Islam ki azmat ke liye dard saha hai
Apnon hi nahi, gairon ko bhi maaf kiya hai
Tauheen kabhi hogi na unko gawara
Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara
Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara
Kya fauj ki tadaad dikhaate ho hame tum
Hum dekhen toh kis tarah hataate ho hame tum
Kis haakim-o-jaabir se daraate ho hame tum
Ab naam na lena kisi haakim ka dobara
Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara
Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara
Mustafa ﷺ, Mustafa Saw
Dawar Farooq Dar
Sitemizde sanatçıya ait toplam 6 eser bulunmaktadır. Sanatçının sayfasına gitmek için tıklayın.


Yorumlar
Henüz yorum yapılmamış.