Danish F Dar-Woh Mera Nabi Hai
Ishq ke rang mein rang jaayen jab afkaar,
Toh khulte hain ghulaamon pe woh asraar.
Ke rehte hain tauseef-o-sana-e-Shah-e-Abrar,
Main har lehja hoon har baar.
Woh Mera Nabi hai, woh mera Nabi hai,
Woh Mera Nabi mera Nabi mera Nabi hai.
Woh Mera Nabi mera Nabi mera hai,
Woh Mera Nabi hai.
Jis par hi nazar, saar-e-zamaane ki lagi hai,
Woh mera Nabi, mera Nabi, mera Nabi hai.
Ahmed hai, Muhammad hai, wahi Khatm-e-Rusul hai,
Makhdoom-o-Murabbi hai, wahi Waali-e-Kul hai.
Jis par hi mazar saar-e-zamaane ki lagi hai,
Woh mera Nabi…
Woh mera Nabi mera Nabi mera Nabi hai,
Woh mera Nabi hai.
Ishq ke rang mein rang jaayen jab afkaar,
Toh khulte hain ghulaamon pe woh asraar.
Ke rehte hain tauseef-o-sana-e-Shah-e-Abrar,
Main har lehja hoon har baar.
Warna woh Sayyad-e-Aali-Nasabi, haan wahi Ummi,
Haashmi-o-Mutallabi-o-Arabi-o-Qurashi-o-Madani,
Aur kahaan hum se gunaahgaar.
Allah ka farmaan: Alam nashrah laka sadrak,
Mansoob hai jisse wa rafa’na laka zikrak.
Allah ka farmaan: Alam nashrah laka sadrak,
Mansoob hai jisse wa rafa’na laka zikrak.
Jis zaat ka Qur’an mein bhi zikr-e-jali hai,
Woh mera Nabi, mera Nabi, mera Nabi hai.
Woh mera Nabi mera Nabi mera Nabi hai,
Woh mera Nabi hai.
Sung loon khushbu-e-gesu-e-Muhammad,
Woh siyah zulf nahi jiske muqabil
Ye banafsha, ye suyuti, ye chameli,
Ye gul-o-laala-e-champa ka nikhaar.
Jinke kadmon ki chamak chaand sitaaron mein nazar aaye,
Jidhar se woh guzar jaaye,
Wahi raah chamak jaaye, dhamak jaaye, mehek jaaye,
Bane raunaq-e-gulzaar.
Yasin-o-Muzzammil-o-Mudassir wahi Taaha,
Kya kya naye alqaab se Maula ne pukaara.
Yasin-o-Muzzammil-o-Mudassir wahi Taaha,
Kya kya naye alqaab se Maula ne pukaara.
Kya shaan hai uski ke jo Ummi laqabi hai,
Woh mera Nabi, mera Nabi, mera Nabi hai.
Woh mera Nabi, mera Nabi, mera Nabi hai,
Woh mera Nabi hai.
Woh mera Nabi, mera Nabi, mera Nabi hai,
Woh sohna Nabi hai, woh pyaara Nabi hai.
Woh sohna Nabi hai, woh pyaara Nabi hai.
Dawar Farooq Dar
Sitemizde sanatçıya ait toplam 6 eser bulunmaktadır. Sanatçının sayfasına gitmek için tıklayın.


Yorumlar
Henüz yorum yapılmamış.