Danish F Dar-Ya Nabi Salam Alayka
anta nooor ullǎǎ hi fajjřan
jitta ba\adal ǔsriyusřan
řabbunaa ǎǎla ka ķadařan
ya imaamal ambiya hi
anta fil wujdaani ħayyiun
anta lil ǎǎi-naiyni ďaiyun
anta îndal ħowďi řeeyunn
anta haadal wa šafaiyun
ya habibi ya muhammad
ya nabi salam alayka
ya rasool salam alayka
ya habib salam alayka
salwa tula alauka
do jahaan ke aap waali
aapke ausaaf aali
aapki seerat misaali
dijeye ishq e bilali
mere maula mere sarwar
aap aala aap bartar
keh rahi hai sur e kausar
aapka dushman hai abtar
ya nabi salam alayka
ya rasool salam alayka
ya habib salam alayka
salwa tula alauka
aap hain yaseen o taaha
mere aaqa mere shaha
ho gaya tapdeel qibla
aapne jis tarhah chaha
zindagi hai unka sadqa
bandagi hai unka sadqa
roshani hai unka sadqa
har khushi hai unka sadqa
ya habibi ya muhammad
ya nabi salam alayka
ya rasool salam alayka
ya habib salam alayka
salwa tula alauka
kufr ki zulmat jisne mitayiiiiiiiiiiiiii
kufr ki zulmat jisne mitayi
deen ki dolat jisne lutayi
lehraya tauheed ka parsham
sallallahualaihiwasallam
jism e muzakka roh e musavvar
qalb e mujalla noor e muqattar
husn e sarapa khair e mujassam
sallallahualaihiwasallam
bazm e milal thi nazm se khali
bikhre hue they haq ke leaali
kar diye sab aake munazzam
sallallahualaihiwasallam
wohm ki har zanjeer ko toda
rishta ek khuda se joda
shirk ki mehfil kar di barham
sallallahualaihiwasallam
fard o jama\at , amr o ita\at
kasb o kana\at , aff o shuja\at
hal kiyejo israr they mubham
sallallahualaihiwasallam
jispe tasaduk wahi e ilahi
kankariyan de jiski gawahi
jiska taffawuk sab pe musallam
sallallahualaihiwasallam
khalq e khuda ka raahi ye aakhir
deen e khuda ka daai ye aakhir
jiski dawat aslim tuslam
sallallahualaihiwasallam
sang ke ivaz daru e shifa di
tane sune aur nek dua di
zakham sahe aur baksha marham
sallallahualaihiwasallam
Rah me kaante jisne bichaye
gaali di pathar barsaye
uspar chidki pyaar ki shabnam
sallallahualaihiwasallam
Dawar Farooq Dar
Sitemizde sanatçıya ait toplam 3 eser bulunmaktadır. Sanatçının sayfasına gitmek için tıklayın.


Yorumlar
Henüz yorum yapılmamış.